Maharana Pratap Yudh
| महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े |
2022
महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े : Hello Doston app sabhi ka swagat hai hindimefeeds.com par . Doston Hamare website ka ek hi moto h apne Bharat k share maahan logo k bare me apko sabhi ko jaankari Dena . Bharat k nojawaano aaj hm Ek ese vyakti k bare me baat karne wale h Jiska khun jwaalamukhi se bi jyada garam tha, Jisse dar kr Akhbar ki bi nind uud Gaye the . Doston hmare Rajwanshi Maharana pratap . Doston agr apko ese kahaniyon me dilchswi h toh hmare website hindimefeeds.com ko jarur visit kre.
Click below for more !
Love story of Arjun mahabharat.
[ महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े ]

Maharana Pratap kis vichar k vyakti the .
(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Pyase Rah Kar Bhi Apne mewar ka Raksha Karunga Apna Jaan de dunga per Mewar Nahi dunga.
Kavita
Chetak per Chadh Jisne, Bhala se Dushman sanghare the.
Matrai bhoomi Ke Khatir, jungle mein Kai Sal gujare the.
Jhuke Nahin wah mugalon se, anubandhon ko thukra Dala.
Matri bhumi ki Bhakti ka, naya pratiman banaa Dala.
Haldighati ke yuddh mein, Dushman Mein Kohram machaya tha.
Dekh Veerta rajputane ki, Dushman bhi tharraya tha.
Balidan per Rana ke, Bharat Maa ne, Lal Desh Ka Khoya tha.
Veer Purush ke Deha Vasan per, Akbar bhi phaphak kar Roya Tha.
Bharat Maa Ka Veer Sapoot, Har Hindustani ko pyara hai.
Kuwar Pratap Ji ke Charanon Mein, shat shat Naman Hamara Hai.
Maharana Pratap aur Akbar ke Sena Mein antar .
Aaj Ki Kahani Ek Aise Veer Purush aur deshbhakt ki hai Jo aadhe Hindustan Ke Badle Apna Chhota Sa Mewar dene ko taiyar nahi tha. Han, ab tak aap samajh Gaye Honge Ki Main kiski baat kar raha hun “Maharana Pratap” ki. Kahate Hain Ki Akbar Maharana Pratap ko Mewar Ke Badle Aadha Hindustan dene ko taiyar tha per Maharana Pratap nahin diya. Maharana Pratap Ki Sena Akbar ke samne bahut Chhota tha Akbar ke pass 80000 senaen thi ki Vahi Maharana Pratap ke pass 15000 ki senaen thi lekin Kahate Hain ki Akbar Kabhi Jita Nahin Rana Kabhi Hare Nahin. Akba ke sena Mein Dam Tha Rana ke Seene Mein Dam Tha.
(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Maharana Pratap aur Mewar ki veer Gatha .
Bhartiya Itihaas mein n jaane kitne Veer Purush aur Veer Yoddha ne Janm liya.
Unhone Kai Mahan kam kiye Lekin aaj is Duniya Mein Na hi to unhen Yad Kiya jata hai aur na hi unke bare mein janne ki koshish ki gai hai. Aaj Ham Usi Bhartiya Itihaas ke Ek Veer Yoddha ki baat karenge Jisne mugalon ko Kai bar Dhul chataya tha. Ek Aisa Yoddha Jisne Apne Desh, Dharm, aur swadhinta ki Raksha karne ke liye Apne pranon ka Balidan dene Mein Kabhi sankoch nahin kiya. aur unke is tyag per sampurn Bharat ko Garv raha hai. yah Kahani Hai us Bharat ki Jab Yahan Hatyara Aur luteron Mughal Ka Raj tha per Usi Bharat mein Mewar ka Apna Ek vishisht Sthan hai jis mein Itihas ka to gaurav hai hi Lekin sath sath pura Hindustan aur Mewar ka Gaurav Maharana Pratap Jisne Apne Jivan Mein Kai yuddh Lade. Ek Aisa Yoddha Jiske pass Akbar ke mukabale Sena To Kam thi per pure mugalon per Bhari Pada. Jaisa ki maine pahle Kaha Akbar Kabhi Jita Nahin Rana Kabhi Hare Nahin. Akbar ke Sena Mein Dam Tha Rana ke Sine Mein Dam Tha. Maharana Pratap ka naam Itihaas Mein Veerta Aur Dhrir Ke Liye Amar Hai unhone Kai Salon Tak Mugal Samrat Akbar ke sath Sangharsh Kiya Maharana Pratap Ne mugalon ko Kai bar yuddh mein haraya.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Lekin unke is veergatha ko janne Se Pahle yah Jaruri ho jata hai ki Ham Kuchh unke Jivan Parichay ke bare mein jaan len.
Maharana Pratap ka Jeevan Parichay .
To Chaliye doston Ham Shuru se shuru Karte Hain Maharana Pratap ka Janm 9 May 1540 ko Kumbhalgarh mein hua tha. Inke Pita ka naam Maharana Uday Singh aur matashri ka naam Rani Jayanti Bai tha. Mata Jayanti Bai Jo Pali ke songara akhairaj Ki Beti thi na sirf Inki maa Thi balki Pahli Guru bhi thi. Maharana Pratap ko Bachpan Mein Kika ke naam se Pukara jata tha. Maharana Pratap ka rajyabhishek Gogunda mein hua. Bachpan Se Hi Maharana Pratap sahasi, Veer, swabhimani, avam Swatantrata Priye the. san 1572 Mein Mewar ke sinhasan per baithte hi unhone abhut purv sankaton ka Samna karna Pada, Magar Dhairya aur Sahas ke sath unhone Har vipatti ka Samna Kiya.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Maharana Pratap ka prakram .
Mugalon ki Virat Sena se Haldighati Mein Unka Bhari yuddh hua. Vahan unhone Jo paraakram dikhaya vah Bhartiya Itihaas mein advitiya hai. Unhone apne purvajon ki man Maryada ki Raksha ki aur Pran Kiya ki jab tak Apne Rajya ko Mukt Nahin Karva Lenge tab tak Rajya Sukh ka upyog Nahin Karenge. Tab Se vah Bhumi par sone Lage vah Aravali ke jungle mein kasht sahte Hue bhatkate Rahe. parantu unhone Mugal Samrat ki adhinta swikar nahin ki. unhone apni Matra Bhumi ki Raksha ke liye Apna Jivan Arpan Kar Diya. Maharana Pratap ko Bachpan Mein Hi Dhal Talwar chalane ka Prashikshan Diya Jaane Laga Kyunki unke Pita unhen apni Tarah Kushal Yoddha banana Chahte the. (महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े) Maharana Pratap Ne Bachpan Se Hi netritva karne ki gunvatta thi Aur isee tarike se Kai gun unmen Samaye hue the.
Maharana Pratap aur Sisodiya Pariwar .
Vaise inke Sisodiya Parivar mein Kai Rahana the Jaise Bappa Rawal, Rana Hamir, Rana Sanga, Rana Pratap. Lekin Maharana ki upadhi sirf Rana Pratap Ko Mila isliye unhen Maharana Pratap Kaha jata hai. Lekin Bharat ke Kai Mahan kahaniyon mein Ek Kami bhi raha hai vah hai parivaron Ke bich matbhed Jiske Karan Bharat ko bahut Sare bure Samay se gujarna pada hai aur Aisa Hi Ek Samay Maharana Pratap ke Sisodiya Parivar Mein Bhi Aaya Tha. Maharana Uday Singh ki Aur Bhi Kai patniyan thi usmein se ek Patni Maharani Dheer bhai thi Jo chahti thi ki mera beta Jagmal Raja bane aur dusri Patni chahti thi ki nahin mera beta Raja bane aur isi matbhed Ke Karan Bharat Ne Apna Kai Mahan Yoddha Khoya Hai.
Kyunki Jab Jab ghar tutega tab tak parosiya kar lutega aur Yahi hua Har Bar aisa hota Aaya Hai Kyunki Hindustan Mein Aisa pahla bar Nahin hua tha 326 BC ke andar Jab Sikandar Bharat aaya tha tab Maharaj aambhik Ne Poras Ko Dhokha dekar Unse Sandhi Kar Li thi Jiske Karan Purush Har Gaye. Mohammed Gauri Prithviraj Chauhan ko Kabhi Hara Nahin pata Agar Jaichand uske sath Na Milta. British bhi Hamare Desh Mein Kya Kar Leta Vah to Gwalior ka Sindhiya Indore ke Holkar Hyderabad ke Nijam aur Patiyala Ke Raja 1857 mein unhone Dhokha De Diya isliye Hamara Desh Maar kha Gaya tha aur ham feer agale sau Salon ke liye Gulam ho gaye the aur isee Tarah Akbar Maharana Pratap ka Kuchh n kar Pata Agar Amer Ke Raja, todarmal aur Jay Singh uske sath Na Milta.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Mahanta ka paribhasha .
Lekin Sawal yah uthata hai Ki Aakhir mahanata ka paribhasha kya hai hajaron Logon ki Hatya karna yah hajaron logon ka Jaan Bachana Akbar hajaron Logon ki Hatya Karke Mahan kahlata Hai Aur Maharana Pratap hajaron Logon ki jaan bachakar bhi Mahan nahin kahlate hain. Darasal Baat yah hai ki Ham Logon Ne Kabhi Apne Itihaas Ko janne Ka koshish hi nahin kiya Kyunki Hamare Desh Ka Itihaas angrejon aur communiston Ne likha hai. unhone sirf un logon ko Mahan banaya hai jinhone Bharat per Atyachar Kiya ya jinhone Bharat per Aakraman Karke use Luta Bharat ka dharmantaran Kiya aur uska manmardan kar Bhartiya Gaurav Ko nasht Kiya.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Haldighati ka yuddh.
Haldighati ka yuddh Bharat ka Itihaas ki ek mukhya kari hai. yah yuddh 18 June 1576 ko lagbhag 4 ghanton ke liye Hua jismein mewad aur mugalon mein ghamasan yuddh hua tha. Maharana Pratap Ki Sena ka netritva ekmatra Muslim Sardar Hakim Khan Suri ne kiya aur Mugal Sena ka netrutva Mansingh tatha Aasfa khaa ne kiya tha. Is yuddh Mein kul 15 000 Maharana Pratap ka Sena Akbar ki kul 80000 Mugal Sena ke sath hua tha jo ki Maharana Pratap ke netritva karne ki gunvatta ko dikhata hai. kai mushkilon ka Samna karne ke bad bhi Maharana Pratap Ne Har Nahin Mana aur apne paraakram ko darshaya isee Karan bus Aaj Unka Naam Itihaas ke pannon mein darj hai. Kuchh itihaaskar Aisa mante Hain Ki Haldighati ke yuddh mein koi Vijay Nahin Hua parantu Agar Dekhen To Maharana Pratap ki hi Vijay Hui.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े) Apni Chhoti Sena ko Chhota Na Samajh Kar Apne Parishram aur Dhrir Sankalp se Maharana Pratap Ki Sena Ne Akbar ki Vishal Sena ke chhakke chhuda diye aur unko Piche hatne ke liye majbur Kar Diya.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Haldighati yuddh Mein Ghoda Chetak.
Maharana Pratap ki Veerta ke sath sath unke Ghode Chetak ki Veerta bhi Vishva vikhyat hai pure Duniya Mein Chetak Ek Aisa Ghoda Hai Jis per Kai kahaniyan aur kavitaen aur sath sath uske Naam per bahut sari gadiyon ka bhi Naam Rakha gaya hai.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े) Chetak bahut hi samajhdar aur Veer Ghora tha Jisne Apni Jaan daav per lagakar 26 foot gehre Dariya se Kud kar Maharana Pratap ki Raksha ki thi Haldighati Mein Aaj Bhi Chetak ka mandir banaa Hua Hai.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Maharana Pratap ka sangharsh
Rajasthan ke Kai Parivar Akhbar ki Shakti ke aage ghutne take Chuke the Kintu Maharana Pratap Apne Vansh ko Kayam rakhne ke liye Sangharsh Karte Rahe aur Akbar ke samne aatm Samarpan nahin kiya. (महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े) jungle bhatkate Hue trunmul wa Ghas Paat ki rotiyon mein Gujar Basar kar Patni aur bacche ko vikaral paristhitiyon Mein Apne Sath rakhte Hue bhi unhone kabhi Dhairya Nahin Khoya. Paise Ke abhav Mein Sona ke tutate Hue manobal ko punarjivit karne ke liye danvir Bhamashah Ne Apna pura khajana samarpit kar diya. Maharana Pratap Ne Kaha ki Sain avashyaktaon Ke alava Mujhe aapse Kuchh Nahin chahie Akbar ke anusar Maharana Pratap ke pass sadhan simit the Kintu Fir bhi Ve Jhuke Nahin dare Nahin.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े) Maharana Pratap ka Haldighati ke yuddh ke bad ka samay Baharon aur junglon mein vyatit hua apni parvatiy yuddh Niti ke dwara unhone Akbar ko Kai bar Maat Di yadhyapi junglon aur Pahadon Mein Rahte Hue Maharana Pratap ko Anek Prakar ke kashton ka Samna karna Pada Kintu unhone Apne aadarshon Ko Nahin Chhoda. Maharana Pratap ke majbut iradon Ne Akbar ke senanayakon ke sabhi prayason ko nakam kar diya. unke Dhairya aur Sahas ka hi Asar tha ki 30 varsh ke lagatar Prayas ke bavjud Akbar Maharana Pratap ko Bandi n banaa Saka. Maharana Pratap ka sabse Priya Ghoda Chetak tha Jisne antim Sans Tak Apne Swami Ka Sath diya tha.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Maharana Pratap ka Hathi Ramlal
(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Aapane Chetak ke bare mein to bahut Suna Hoga Ki use Maharana Pratap Se Kitna lagav tha Lekin ek aur Jeev tha Jise Maharana Pratap se bahut lagav tha uska naam tha hathi RamLal. Hathi Ram Lal bahut Balwan tha Jiske Karan Akbar use Bandi banana Chahta tha aur Akbar ismein Kamyab Bhi Ho Gaya vah Use Bandi Banakar Apne Karagar Mein Le Gaya Lekin Akbar us par Apna niyantran Na Kar saka Kyunki Hathi Ram Lal bhi Chetak Ki Tarah hi Maharana Pratap se Prem Karta Tha. Maharana Pratap Se bichhadne Ke Dukh Mein Hathi Ramlal Kuchh nahin khaya aur kuchh Din bad uski mrutyu ho gai.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Mrityu:
Aakhirkar Shikar ke dauran Lagi choton ki vajah se Maharana Pratap 19 January 1597 ko chavand Mein Swarg Sidhar Gaye.(महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े)
Thank You.
Doston aap sabhi ka bhtt dhanywaad hmare महाराणा प्रताप ने कितने युद्ध लड़े blogpost ko pahne ke liye . doston comment jrur kare apke comet se hamara hoosla badhta hai . Hm apke liye ese hi motivational stories late rhege
( shayarhindi sigininf off…… )